Shabbir Ko Sajday Main Zibah Kisnay Kiya Hai
Shabbir ko sajday main zibah kisnay kiya hai.
Mazloom kay matam say humay roknay walon, ghaar Fatima Zahra ka taba kisnay kiya hai.
1) Khaimay bhi jaalahay toh ridayen bhi uthari
Syedaniya saar nangay kharay rooti ti saari
Hindu tay Yehudi tay Isayi ya koyi aur
Itna toh bata do yeh gunah kisnay kiya hai.
2) Baysheer kay halqhoom peh jab teer laga ta
Aur pyaas seh masoom kah haye khooskh gala tah
Asghar nay zubaan honton pay jab pehri ti logo
Tab khoon seh tar khooskh gala kisnay kiya hai.
3) Zanjeero may jakrah hoowa Sajaad muhari
Aur Shimaaray kay zulmo seh daari bibiyan saari
Jis bibi ka suraj bhi haya karta tah chup kaar
Uss bibi kay saar ko bayrida kisnay kiya hai.
4) Barchi nay jo cheera Ali Akbar kay jigar ko
Haye kaisay utaya meray mola nay pisar ko
Laila kah pisar lagta ta tasveer Nabhi ki
Sarkar-e-risalaat ka haya kisnay kiya hai.
5) Aapno kay bhi maiyat pay nah tum ashkh bahao
Na pursa-ay Shabbir peh nah pehray lagao
Bay goro kafan run may raha Shah ka lasha
Dafna nay ka tab farz-e-ada kisnay kiya hai.
6) Abbas-e-wafa daaray ka parcham hai nishani
Yaad aayi isay dekh kaar Karbal ki kahani
Jo haath seh Zahra ki duawon kah nateeja
Un haathon ko shaahno seh juda kisnay kiya hai.
7) Akhtar ko yeh ek masla sabhi kul ka bata ay
Kis jurm may looti gayi Karbal may ridaaen
Darbaar may khutba jo parah bintay Ali nay
Azaano seh phir shoor bapha kisnay kiya hai.
Link to Noha: Shabbir Ko Sajday Main
To save File Click on the Link with your Right Mouse Button (click) and select – Save Target As