Gunjti Shaam-e-Ghariban Main Yeh Zainab Ki Sada

Gunjti shaam-e-ghariban main yeh Zainab ki sada mera koyi na raha.

Na rahai bhai na betay chin gayi meri rida mera koyi na raha.

1)  Aasarai jis kai behan chor kai aayee thi watan
     Merai pardai ka jisai maan’ nai banaya daman
     Labai derya merai Ghazi kai huwai bazu juad mera koyi na raha.

2)  Woh jo athara baras noori hijabon’ main raha
     Lot kai aaun ga main jis na Sughra sai kaha
     Hy barchi sai kaleja merai Akbar ka chida mera koyi Nna raha.

3)  Mera Ghazi bhi gaiya Qasim-o-Akber bhi gayai
     Hur tha mehmaan bhi gaiya Ibne-e-Mazahir bhi gayai
     Kis ko ghurbat main sada dun kerbala yeh to bata mera koyi na raha.

4)  Maa nai maqtal main jisai dulha bana ker behjha
     Merai Qasim ka badan dasht main pamaal howa
     Baal kholai howai roti howi lashai pai kaha mera koyi na raha.

5)  Woh Sakina kai jisai piyaar tha baba sai bara
     Baad baba kai mili jis ko tamachon ki saza
     Dur jo zaalim nai utarai khoon aankhon sai baha mera koyi na raha.

 

Leave a Reply


Isulong SEOph