Mujrae Khalq Main In Aankhon Ne Kya Kya Dekha
Mujrae Khalq main in aankhon ne kya kya dekha.
Or kahin Sibte payamber sa na aqa dekha.
1) Main nay dekha alam-e-Shah ko aalooda ba-khoon
Main nay neze pay sar-e-dilbar-e-Zahra dekha.
2) Main nay dekha Ali Asghar ka gala khoon main ter
Mainai Abbas ko raiti pai tarapta dekha.
3) Aik ghatri Shah-e-deen pusht pai layai us main
Mainai tukrai howe Qasim ka sarapa dekha.
4) Haye kyon ho na gaee kor k in aankhon nay ?
Qaid khanay main Sakina ka janaza dekha.
5) Boli yay Zainab-e-muztar k khuda khair karai
Raat ko khwab main uryan sar-e-Zahra dekha.
6) Ja kai Zainab nai medinai main kahan Sughra sai
Kahon kis moon say k pardes main kya kya dekha.
7) Zulm ay mujraee Sajjad nay kya kya dekha
Ghar luta, qaid howe, baap ka lasha dekha.
Link to Noha: Mujrae Khalq Main In Aankhon
To save File Click on the Link with your Right Mouse Button (click) and select – Save Target As