Main Lutt Gayi Nana

Main lutt gayi nana.

Karbobla kai ban main (x2) ghaar lutt gaya mera.

1)  Assi tabhiyi layah, Ashur kah sawara
     Kubra ki maangh ujri, Qasim kah luta sehra
     Bay jurm gaya maara (x2) ek raat kah dhula.

2)  Kariyaal jawan Akbar, mera gaiyzoo-e-wala
     Woh shear jis ko mainay, aithara saal paala
     Teero seh howah chaalnei (x2) ussi shear kah seena.

3)  Zalim neh teer maara, masoom kai galai paar
     Pyaasa lahoo main dubah, baisheer Ali Asghar
     Maktal mei ro roh tah (x2) bhayi mera tanha.

4)  Woh jis kah naam pyaasay, bacho ki aas kah
     Jis ko laqaabab mila tah, saak hy-e- Sakina
     Woh bhai labay dariyah (x2) maara gaya pyaasa.

5)  Bacho ko jis ko maine sadkai kiya tah nana
     Jo mera bhayi mujko tah jaan sei pyara
     Pahmaal hotai dekha (x2) usi bhayi kah lasha.

6)  Roota situm ghaaro nei, meray ghaar ko jaalyah
     Alay situm nei nana, us ghaar ko jaalyah
     Raitah tah jis peh nana (x2) Abbas kah pehra.

7)  Jis bachi kah bistaar tah, merai bhayi kah seena
     Kaitah tah mera bhayi, jis pyaar seh Sakina
     Zindaan mein khoayi (x2) Zainab woh nagina.

8)  Waalwai main layeen ayei, jis waqt rasaan basta
     Tah haal ajaab Gohar, Abbas kah qahaar kah
     Majmah tah hazaro kah (x2) Zainab ki bay riddah.

Leave a Reply


Isulong SEOph