Yeh Musalmano Rasool-e-Paak Ka Farmaan Hai

Yeh musalmano Rasool-e-paak ka farmaan hai.

Tum may choray ja raha hoon (x2) aal aur Quran hai

1) Khoob hai ajre risalat Mustafa ko mill raha (x2)
Qatal Syed ho rahay hai (x2) jaal raha Quran hai.

2) Jiske lab haarkat nahi kaartay baghair amlay khuda (x2)
Kis tarha yeh kay diya (x2) tunay usay hizyaan hai.

3) Dono aalam kay liye jo ba-isay rahmat bana (x2)
Kya ussi ki aal kay hi (x2) waastay zindaan hai.

4) Dheen-e-Ahmed ki baqa kay waastay vaiz bata (x2)
Juz Nabi ki aal kay (x2) kiska howa nuksaan hai.

5) Al Hussain-o-minni say yeh saaf zaahir hogaya (x2)
Kay Hussain ibne Ali may (x2) Mustafa ki jaan hai.

6) Ye nishaan matam ki dil may ghum Ali kay laal ka (x2)
Apni bakshish ka hamaray (x2) paas yeh samaan hai.

7) Naam usi hasti kay hai yeh aaj ka noha ameer (x2)
Jo azal say ambiya ka (x2) momin-o-sultaan hai.

Link to Noha: – Hassan Sadiq, 2006

Leave a Reply


Isulong SEOph