Aati Hai Gardoon Say Yeh Payhum Sada
Aati hai gardoon say yeh payhum sada
Qatal howay sajday may shairay khuda
Qaanay haq may yeh ghazab ho gaya
Qatal howay sajday may shairay khuda.
1) Ghum say hai Zainab nidhaal (x2)
Khol diye saar kay baal (x2)
Kehti hai ye pur malaal (x2)
Dekho to baba kahan (x2)
Detay hai Jibreel yeh kaisi nida
Qatal howay sajday may shairay khuda.
2) Saat paday jalwagar (x2)
Kehti hai saar peet kaar (x2)
Phat-ta hai mera jigar (x2)
Koyi to laaye khabar (x2)
Ghar may khuda kay ye sitam kya howay
Qatal howay sajday may shairay khuda.
3) Dekho to Hasnain ja (x2)
Baba ko ghaar may to laa (x2)
Aisa laga saar peh ghao (x2)
Mujko khudara batao (x2)
Poocho to jarraah say hogi shifa
Qatal howay sajday may shairay khuda.
4) Nashtaray ghum dil pa khaye, (x2)
Daud kar hasnain aaye (x2)
Dekha ajab haal hai, (x2)
Khoon may hai baba nahaye (x2)
Firsh se ta arsh hai mehshar bapa
Qatal howay sajday may shairay khuda.
5) Haaye qayamat howi (x2)
Taygh sitam ki chali (x2)
Baara Ali-e-wali, (x2)
Girya-e-roohay Nabhi (x2)
Kaisi layeen nay ye ki joro-jafa
Qatal howay sajday may shairay khuda.
6) Ay meray zakhmi iImam, (x2)
Tum pa durood-o-salaam (x2)
Dhoop ki tabli may aap,(x2)
Daydiya khaatil ko jaan (x2)
Hoga Anees aisi koyi peyshwa.
Qatal howay sajday may shairay khuda.