Fizza Nay Kaha Awn-o-Mohammed
Jab ran may aaye Haider-o-Jafar kay mehlaqa (x2)
Aur baykaso peh toot paari fojay ashkiyan
Nagaah ek zaeefa khulay sar barehna pa
Qaimay kay daar pay aayi dilaf ghaaro ghum zada
Dekha jo aah bharkay suway nehray Al Qama
Naizo uchal ke rehgaya paani Furaat ka
Do nanay nanay laashay basad girya o buka
Laatay howay dikhayi diyay shah -e- Karbala
Saar peetnay laagi woh musibat mubtilla
Poocha jo bibiyo nay labay nehar kya howa.
Fizza nay kaha Awn-o-Mohammed gaye maaray dariya kay kanaray
Mamu peh fida hogaye Zainab kay dulaare, dariya kay kanaray.
1) Sunkar yeh sada saaniye Zahra yeh pukari
Amma gayi waari (x2)
Pyaasay hi meray laadlay duniya say sidhaaray
Dariya kay kanaray.
2) Dekhengay na paani ki taraf aankh uthaakay
Waada tah yeh maa say (x2)
Shehzado nay dum toor diya pyaas kay maaray
Dariya kay kanaray.
3) Maqtal kay andharay may hay is ghaar kay ujaalay
Do phool say laashay (x2)
Do chand kay tukray tay banay tootay howa taaray
Dariya kay kanaray.
4) Qaimay may abhi laanay ki jaldi nahi logo
Akbar se yeh kehdo (x2)
Bachon ko meray bhayi ka sadqa to utaaray
Dariya kay kanaray.
5) Acha hai kay sotay rahay moo khaak peh rakh kay
Saaye may alaam kay (x2)
Abbas kay qadmo may rahay laal humaray
Dariya kay kanaray.
6) Ghaar lut-ta hai Zainab kay qayamat ki ghaari hai
Khamosh kharri hai (x2)
Sunta nahi koyi to kisay jaakay pukaaray
Dariya kay kanaray.
7) Shahiir haramay Shah may kohraam bapa hai
Zainab ki sada hai (x2)
May lutgayi pardes may hay hay meray pyaaray
Dariya kay kanaray.