Ay Mout Tehaar Ja

Hichkiyan layta tay Ali Akbar, Umme Laila ye bain karti thi
Poshaak urahaloon kay may armaan nikaloon

Ay mout tehaar jaa, ay mout tehaar jaa
May apnay jawan laal ko dulha to bana loon

1) Is laal ko may kaisay karoon teray hawalay
Yeh chand to daita hay zamanay ko ujalay
Is chand ki poshaak sitaron say saajaloon.

2) Athara baras phoolon ki tarha jisay paala
Jaata hay mujhay choor kay woh gaysuwo wala
Ab tu hi bata kaisay may is dil ko sambhaloon.

3) Dekhay thay bahot khaab magar khaak howay saab
Is baitay kay sehray ki dua karti thi Zainab
Dhulla na sayhi may issay dhulla sah banaloon.

4) Haar shaam jisay lagti hay ab shaam-e-gharibaan
Jo kehti thi Akbar ki dulhan laungi amma
Us Fatima Sughra ko Madinay say bulaloon.

5) Qaimay say zara door khaaray rotay hay Sarwar
Ek haat kallejay pay hay ek haat kamaar paar
Mai khud ko sambhaloon kay Shah-e- deen ko sambhaloon.

6) Ye kiski nazar kha gayi is nooray nazar ko
Veraan kiye jaatay hai Akbar meray ghaar ko
Jee karta hai is chaand ko duniya say chupaloon.

7) Zainab kay labon paar hay buka haye muqaddar
Kya sehra chaarhaun may teri laash peh Akbar
Aur khud ko teri laash peh sadqay hi uttaroon.

8) Mendhi na laagi haaton may hai khoon badan ka
Pooshak-e-shahani ko milla daag kafan ka
Is laash peh athaarveen mannat ko barahaloon.

9) Taqdeer kisi maa ko yeh manzaar na dikhaaye
Maiyat peh jawaan laal kay woh ashq bahaaye
Jee bhaar kay issay dekhloon aur ashq bahaun.

10) Fariyaad zara sunlay Sakina ki zubaani
Maarjaungi bichra jo mera yusuf-e-saani
Bhaiya meray naraaz hay may unko manaloon.

11) Maa roti rayhi mazhar-o-irfan tarapkaar
Aur aakhri hichki may safar kaargaye Akbar
Maa kehti rahi may issay dhulla toh banaloon.

Link to Noha: – Irfan Haider, 2003

Leave a Reply


Isulong SEOph