Alwida, Ay Behan Alwida

Alwida ay behan alwida

Bolay Shah-e-zaman alwida.

1) Qatal ka meray lamha kareeb aagaya (x2)
Ek andhera sa charon taraf chagaya (x2)
Waqt say pehlay suraj bhi grehn aagaya (x2)
May hu tanha mera haar sahara gaya (x2)

2) Chaltay chaltay faqat tumsay hay ek sawaal (x2)
Meri pyaari Sakina ka rakhna khayaal (x2)
Bin meray zinda rehna hay iska mohaal (x2)
Meri bachi ko honay na daina malaal (x2)

3) Jab girrou apnay ghoray say sooy-e-zameen (x2)
Aur jhukadoon may sajday may apni jabeen (x2)
Mujhko zibha karega jo Shimaray layeen (x2)
Tum na aajana qaimay say bahar kaheen (x2)

4) Meray kunbay ki ab ho tumhi paasbaan (x2)
Hay mera janasheen lah gharo natawan (x2)
Rahay Kufa hai zanjeer aur bariyaan (x2)
Ab tumharay hawalay hay ye karwaan (x2)

5) Lootnay aaye qaimon ko jab ashkiya (x2)
Ho sakay toh bacha layna apni rida (x2)
Sabar karna na karna kabhi baddua (x2)
Haar qadam paar madat ghaar hoga khuda (x2)

6) Yun na gaardish may aaya sitara kabhi (x2)
Yun howay thay na hum bay sahara kabhi (x2)
Saat ek pal na choota humara kabhi (x2)
Ab na aayega bhayi tumhara kabhi (x2)

7) Ay behan aisi bhi aayegi rehguzar (x2)
Jab milay tumko rastay may Shireen ka ghaar (x2)
Aur pehchanlay tumko Shireen agar (x2)
Kehna waada howa poora ay khushsiyar (x2)

8) Soogaye khaak paar tashnalab shah-e-deen (x2)
Jhaalgaye qaimay aur chaadaray cheen gayi (x2)
Hogayi khali Shabbir say ye zameen (x2)
Is sadayay alaam aaj tak hai yaheen (x2)

9) Bhej mehshar gharibul watan paar salaam (x2)
Tashnalab qastatan bay kafan paar salaam (x2)
Shah kay ansaar paar panjatan paar salaam (x2)
Ek bhayi peh aur ek behan paar salaam (x2)

Link to Noha: – Nadeem Sarwar, 1990

Leave a Reply


Isulong SEOph