Ay Awn – o – Mohammed

(Kehti ti yeh Zainab (x2) youn maa ka maan nibhaana (x2) )
 
Ay Awn-o-Muhammed, Aye Aun-o-Muhammad (x2)
 
Shabbir ka tum sadka ho, ab khaymay may beta, tum laut kaar na aana.
 
1) Hay Maa ko yaqeen, tum Maa ki baat rakhogay
Yeh yaad rahay, khaimo may hay pyaasay bachay
Dariya peh agaar jaana ho, seh roz kay pyaaso, tum pyaas na bujhaana
 
2) Har haal peh tum paar, laazim hay shukar khuda ka
Aye shehzaadon, hai sabar tumhaara virsaa
Farzand ho tum Zainab kay, shikwa nayhi jkarna, jab zakham koyi khaana.

3) Kab hum peh sitam, karnay kay liye aaye hay
Yeh badro-ohad kay, badlay kay liye aaye hay
Laazim hay razaz say pehlay, maidaan may tum paar, madhay-Ali sunaana.
 
4) Jab saans tumhaari, bacho ho utarnay waali
Ous waqt sirhaanat, aayegi maadar meri
Dil ki yeh meray khwaahish hai, ous dum meri maa say, zakhmon ko tum chupaana.
 
5) Qaatil peh karam, nana ki tarha kardayna
Yun laaj meray, bhayi kay naam ki rakhna
Jo waasta day bhayi ka, maydaan peh ous paar, tum teigh na chalaana.
  
6) Jab laashay uthakaar, khaimay may laaye sarwar
Zainab yeh boli, askhon ko apnay chupaakar
May bhi na tumhay ro ungi, aur meray liye bhi, aansu na tum bahaana.
 
7) Taazeem ki khaatir, kyun uthtay nayhi abh baita
Dekho toh sirhaanay, aahyeh hay meray bhaiya,
Jaago meray shahzaado, kya bhoolgaye ho, qadmo peh saar jhukaana.
 
8) Shabaash meray, bacho hun may tumsay raazi
Yeh kehkay taqallum, khamosh howi shahzaadi
Naizo peh safar karkay, humraa humaaray, tumko hah Shaam jaana
 
Link to Noha :- Mir Hassan, 2010

Leave a Reply


Isulong SEOph