Nainawa Yeh Bhala
Nainawa yeh bhala baynawa kyon hay.
Teray seenay pay yeh (x2) lutt raha kyon hay.
1) Jis kay maathay pay noo raye Nabhi ki chamak
Jiss kay kirrdaar main hay Ali ki jhalak
Ambiyaa ki tarah bolta kyon hay.
2) Laash paar laash maqtal say laata hay yeh
Shukr-e-khaaliq main sir ko jhukaata hay yeh
Yeh shenshah-e-sabar-o-raza kyon hay.
3) Saamnay laash betay ki run main paari
Jiskay seenay main tooti anni hay aarri
Phir bhi bilkul nahin roraha kyon hay.
4) Lay-nay bhaija hay paani ko ik shair-e-naar
Jis nay mashkeezay main daal di hay nehaar
Woh alamdaar woh bawafa kyon hay.
5) Jisnay sajday main rakhdi hay apni jabeen
Teer o talwaar is kay badan main makeen
Ya ilaahi yeh zahid tera kyon hay.
6) Mustafa, Murtaza bhi hain aayay huway
Fatima bhi hain Shabbar ko layay huway
Kyuon janay yeh raaz-e-khuda kyon hay.
7) Nainawa yeh pukaari kay Tauqeer sun
Tu khayaalaat kay jaalay aisay na bun
Yeh Hussain-e-Ali kay siwa kyon hay.
Link to Noha: Nainawa Yeh Bhala
To save File Click on the Link with your Right Mouse Button (click) and select – Save Target As